Privacy Policy

Khabar Studio ยท Last updated: November 2026

Ye policy batati hai ki Khabar Studio app aapki kaunsi jaankari leti hai aur uska kya hota hai.

Hum kya jaankari lete hain

Account banate waqt: naam, channel ka naam, mobile number, email, location (shehar ya zila aur state, jo aap khud likhte hain) aur password. App phone ka GPS istemal nahi karti. Agar aap Account mein apna channel save karte hain, to uska logo aur design bhi aapke account ke saath save hota hai. Password hum khud nahi dekh sakte, wo Google Firebase sambhalta hai.

App chalane par: phone ki app-specific device ID, aur aapne kitne video banaye, uski ginti.

Jo hum nahi lete

Aapke video, photo, voice-over aur camera recording aapke phone mein hi rehte hain. Ye hamare server par upload nahi hote. Camera aur mic sirf tab chalte hain jab aap khud record karte hain.

Jaankari ka use

Login chalane, account ek phone par rakhne, app sudharne, aur aapse app ke updates ya offers ke baare mein call, WhatsApp ya email se sampark karne ke liye. Hum aapki jaankari bechte nahi hain.

Jaankari kahan rehti hai

Account ki jaankari Google Firebase par rakhi jati hai. Firebase hamare liye ye seva chalata hai.

YouTube aur Facebook jodna (Live)

Agar aap Live mein "Connect YouTube" ya "Connect Facebook Page" dabate hain, to app Google ya Facebook se aapki anumati lekar sirf ye kaam karti hai: aapke YouTube channel ya chune hue Facebook Page par live video banana (title aur description ke saath) aur us live ka stream address lena. Iske liye app aapke channel ya Page ka naam padhti hai. Ye anumati (access token) sirf aapke phone mein rehti hai, lagbhag 1 ghante tak chalti hai, aur hamare server par nahi bheji jati. Hum aapke YouTube ya Facebook ka koi aur data nahi padhte ya rakhte. App mein "Hataen" dabakar aap ise kabhi bhi hata sakte hain, aur Google account permissions ya Facebook ki Apps and Websites settings se bhi anumati wapas le sakte hain.

Khabar Studio YouTube API Services ka istemal karta hai. Inke istemal par YouTube Terms of Service aur Google Privacy Policy lagu hote hain.

Account aur data delete karna

App ke Account section mein Delete my account dabakar aap apna account delete kar sakte hain, ya yahan se request bhej sakte hain. Delete karne par naam, mobile, email, location aur login hat jate hain. Device ID aur uski video ginti surakshit rakhne ke liye reh sakti hai, jisme aapka naam nahi hota.

Bachche

Ye app 18 saal se kam umar ke logon ke liye nahi hai.

Sampark

WhatsApp: 8819941518